ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
Beyond the stars there are other worlds still; love has more trials yet to face.
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں
tahi zindagi se nahin ye fazaen
yahan saikdon karwan aur bhi hain
قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
qana'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں
agar kho gaya ik nasheman to kya gham
maqamat-e-aah-o-fughan aur bhi hain
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
tu shahin hai parwaz hai kaam tera
tere samne aasman aur bhi hain
You are a falcon: flight is your calling — more skies lie before you.
اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
isi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja
ki tere zaman-o-makan aur bhi hain
گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں
gaye din ki tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere raazdan aur bhi hain