Skip to content

Poetry · Theme

Dil (The heart)

دل

Couplets on Dil (The heart) by the great Urdu poets — in Urdu script with Roman Urdu. Share any of them as an image.

Share with friends

WhatsApp Facebook X (Twitter) Telegram
13 Couplets

تو بچا بچا کے نہ رکھ اسے ترا آئنہ ہے وہ آئنہ

کہ شکستہ ہو تو عزیز تر ہے نگاہ آئنہ ساز میں

tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina

ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aaina-saz mein

— Allama Muhammad Iqbal, Kabhi ae haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein Link to this couplet

جو میں سر بہ سجدہ ہوا کبھی تو زمیں سے آنے لگی صدا

ترا دل تو ہے صنم آشنا تجھے کیا ملے گا نماز میں

jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada

tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein

— Allama Muhammad Iqbal, Kabhi ae haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein Link to this couplet

دنیا کی محفلوں سے اکتا گیا ہوں یا رب

کیا لطف انجمن کا جب دل ہی بجھ گیا ہو

duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon ya rab

kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

— Allama Muhammad Iqbal, Ek Aarzu (Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon ya rab) Link to this couplet

جنہیں میں ڈھونڈھتا تھا آسمانوں میں زمینوں میں

وہ نکلے میرے ظلمت خانۂ دل کے مکینوں میں

jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein

wo nikle mere zulmat-khana-e-dil ke makinon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

تمنا درد دل کی ہو تو کر خدمت فقیروں کی

نہیں ملتا یہ گوہر بادشاہوں کے خزینوں میں

tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki

nahin milta ye gauhar badshahon ke khazinon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

محبت کے لئے دل ڈھونڈ کوئی ٹوٹنے والا

یہ وہ مے ہے جسے رکھتے ہیں نازک آبگینوں میں

mohabbat ke liye dil dhoond koi tootne wala

ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

خموش اے دل بھری محفل میں چلانا نہیں اچھا

ادب پہلا قرینہ ہے محبت کے قرینوں میں

khamosh ae dil bhari mahfil mein chillana nahin achha

adab pehla qarina hai mohabbat ke qarinon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

غربت میں ہوں اگر ہم رہتا ہے دل وطن میں

سمجھو وہیں ہمیں بھی دل ہو جہاں ہمارا

ghurbat mein hon agar hum rehta hai dil watan mein

samjho wahin hamen bhi dil ho jahan hamara

— Allama Muhammad Iqbal, Tarana-e-Hindi (Sare jahan se achha Hindostan hamara) Link to this couplet

ذرا سا تو دل ہوں مگر شوخ اتنا

وہی لن ترانی سنا چاہتا ہوں

zara sa to dil hun magar shokh itna

wahi lan-tarani suna chahta hun

— Allama Muhammad Iqbal, Tere ishq ki intiha chahta hoon Link to this couplet

فقط نگاہ سے ہوتا ہے فیصلہ دل کا

نہ ہو نگاہ میں شوخی تو دلبری کیا ہے

faqat nigah se hota hai faisla dil ka

na ho nigah mein shokhi to dilbari kya hai

— Allama Muhammad Iqbal, Nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai Link to this couplet

حقیقت اپنی آنکھوں پر نمایاں جب ہوئی اپنی

مکاں نکلا ہمارے خانۂ دل کے مکینوں میں

haqiqat apni aankhon par numayan jab hui apni

makan nikla hamare khana-e-dil ke makinon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

جلا سکتی ہے شمع کشتہ کو موج نفس ان کی

الٰہی کیا چھپا ہوتا ہے اہل دل کے سینوں میں

jala sakti hai shama-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki

ilahi kya chhupa hota hai ahl-e-dil ke sinon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

کسی ایسے شرر سے پھونک اپنے خرمن دل کو

کہ خورشید قیامت بھی ہو تیرے خوشہ چینوں میں

kisi aise sharar se phoonk apne khirman-e-dil ko

ki khurshid-e-qayamat bhi ho tere khosha-chinon mein

— Allama Muhammad Iqbal, Jinhen main dhoondta tha aasmanon mein zaminon mein Link to this couplet

· · / ·

Chapters