اس کے بالا ہے اب وہ کان کے بیچ
جس کی کھیتی ہے جھوک جان کے بیچ
Us ke bala hai ab wo kaan ke beech
Jis ki kheti hai jhok jaan ke beech
آتے اس کو ادھر سنا جس دم
آ گئی انبساط جان کے بیچ
Aate us ko idhar suna jis dam
Aa gai inbisat jaan ke beech
راہ دیکھی بہت نظیرؔ اس کی
جب نہ آیا وہ اس مکان کے بیچ
Raah dekhi bahut Nazir us ki
Jab na aaya wo is makan ke beech
پان بھی پانداں میں بند رہے
عطر بھی قید عطر دان کے بیچ
Paan bhi pandan mein band rahe
Itr bhi qaid itr-dan ke beech