تھی چھوٹی اس کے مکھڑے پر کل زلف مسلسل اور طرح
پھر دیکھا آج تو اس گل کے تھے کاکل کے بل اور طرح
Thi chhuti us ke mukhde par kal zulf-e-musalsal aur tarah
Phir dekha aaj to us gul ke the kakul ke bal aur tarah
وہ دیکھ جھڑکتا ہے ہم کو کر غصہ ہر دم اور ہمیں
ہے چین اسی کے ملنے سے زنہار نہیں کل اور طرح
Wo dekh jhidakta hai hum ko kar ghussa har dam aur hamen
Hai chain usi ke milne se zinhar nahin kal aur tarah
معلوم نہیں کیا بات کہی غماز نے اس سے جو ہم سے
تھیں پہلی باتیں اور نمط اب بولے ہے چنچل اور طرح
Malum nahin kya baat kahi ghammaz ne us se jo hum se
Thin pahli baaten aur namat ab bole hai chanchal aur tarah
دل مجھ سے اس کے ملنے کو کہتا ہے تو اس کے پاس مجھے
جب لے پہنچا تھا بھیس بدل پھر اب کے لے چل اور طرح
Dil mujh se us ke milne ko kahta hai to us ke paas mujhe
Jab le pahuncha tha bhes badal phir ab ke le chal aur tarah
ہے کتنے دنوں سے عشق نظیرؔ اس یار کا ہم کو جس کی ہیں
صبح اور برن شام اور پھبن آج اور دوش کل اور طرح
Hai kitne dinon se ishq Nazir us yaar ka hum ko jis ki hain
Subh aur baran sham aur phaban aaj aur dosh kal aur tarah