کر لیتے الگ ہم تو دل اس شوخ سے کب کا
گر اور بھی ہوتا کوئی اس طور کی چھب کا
Kar lete alag hum to dil is shokh se kab ka
Gar aur bhi hota koi is taur ki chhab ka
بوسہ کی عوض ہوتے ہیں دشنام سے مسرور
اتنا تو کرم ہم پہ بھی ہے یار کے لب کا
Bose ki iwaz hote hain dushnam se masroor
Itna to karam hum pe bhi hai yaar ke lab ka
اس کان کے جھمکے کی لٹک دیکھ لی شاید
ہر خوشہ اسی تاک میں رہتا ہے عنب کا
Is kaan ke jhumke ki latak dekh li shayad
Har khosha isi taak mein rahta hai inab ka
دیکھا جو بڑی دیر تلک اس نے منہ اپنا
لے دست حنا بستہ میں آئینہ حلب کا
Dekha jo badi der talak us ne munh apna
Le dast-e-hina-basta mein aaina Halab ka
جب ہم نے کہا رکھیے اب آئینہ کو یہ تو
حصہ ہے کسی اور بھی دیدار طلب کا
Jab hum ne kaha rakhiye ab aaine ko ye to
Hissa hai kisi aur bhi didar-talab ka
یہ سن کے ادھر اس نے کیا غصے میں منہ سرخ
بھبکا ادھر آئینہ بھی ہمسر ہو غضب کا
Ye sun ke idhar us ne kiya ghusse mein munh surkh
Bhabka idhar aaina bhi hamsar ho ghazab ka
تم ربط کے ڈھب جس سے لڑاتے ہو نظیرؔ آہ
وہ دلبر عیار ہے کچھ اور ہی ڈھب کا
Tum rabt ke dhab jis se ladate ho Nazir aah
Wo dilbar-e-ayyar hai kuchh aur hi dhab ka