خوبرو سب کی جان ہوتے ہیں
آرزوئے جہان ہوتے ہیں
khoobroo sab ki jaan hote hain
aarzoo-e-jahaan hote hain
گوشۂ دیوار تک تو جا نالے
اس میں گل کو بھی کان ہوتے ہیں
gosha-e-deewaar tak to ja naale
us mein gul ko bhi kaan hote hain
کبھو آتے ہیں آپ میں تجھ بن
گھر میں ہم میہمان ہوتے ہیں
kabhu aate hain aap mein tujh bin
ghar mein hum mehmaan hote hain
حرف تلخ ان کے کیا کہوں میں غرض
خوبرو بد زبان ہوتے ہیں
harf-e-talkh un ke kya kahoon main gharaz
khoobroo bad-zabaan hote hain
غمزۂ چشم خوش قدان زمیں
فتنۂ آسمان ہوتے ہیں
ghamza-e-chashm-e-khush-qadaan-e-zameen
fitna-e-aasmaan hote hain
کیا رہا ہے مشاعرے میں اب
لوگ کچھ جمع آن ہوتے ہیں
kya raha hai mushaaire mein ab
log kuchh jam'a aan hote hain
میرؔ و مرزا رفیعؔ و خواجہ میرؔ
کتنے اک یہ جوان ہوتے ہیں
Mir-o-Mirza Rafi-o-Khwaja Mir
kitne ik ye jawaan hote hain