اب ضعف سے ڈھہتا ہے بیتابی شتابی کی
اس دل کے تڑپنے نے کیا خانہ خرابی کی
ab za'f se dhahta hai betaabi shitaabi ki
is dil ke tadapne ne kya khaana-kharaabi ki
ان درس گہوں میں وہ آیا نہ نظر ہم کو
کیا نقل کروں خوبی اس چہرہ کتابی کی
in dars-gahon mein wo aaya na nazar hum ko
kya naql karoon khoobi us chehra-kitaabi ki
بھنتے ہیں دل اک جانب سکتے ہیں جگر یکسو
ہے مجلس مشتاقاں دکان کبابی کی
bhunte hain dil ik jaanib sikte hain jigar yaksoo
hai majlis-e-mushtaaqaan dukaan kabaabi ki
تلخ اس لب میگوں سے سب سنتے ہیں کس خاطر
تہہ دار نہیں ہوتی گفتار شرابی کی
talkh us lab-e-maigoon se sab sunte hain kis khaatir
tah-daar nahin hoti guftaar sharaabi ki
یک بو کشی بلبل ہے موجب صد مستی
پر زور ہے کیا دارو غنچے کی گلابی کی
yak boo-kashi bulbul hai moojib-e-sad masti
pur-zor hai kya daaroo ghunche ki gulaabi ki
اب سوز محبت سے سارے جو پھپھولے ہیں
ہے شکل مرے دل کی سب شیشہ حبابی کی
ab soz-e-mohabbat se saare jo phaphole hain
hai shakl mire dil ki sab sheesha-habaabi ki
نش مردہ مرے منہ سے یاں حرف نہیں نکلا
جو بات کہ میں نے کی سو میرؔ حسابی کی
nash-murda mire munh se yaan harf nahin nikla
jo baat ki main ne ki so Mir hisaabi ki