جس جگہ دور جام ہوتا ہے
واں یہ عاجز مدام ہوتا ہے
jis jagah daur-e-jaam hota hai
vaan ye aajiz mudaam hota hai
ہم تو اک حرف کے نہیں ممنون
کیسا خط و پیام ہوتا ہے
hum to ik harf ke nahin mamnoon
kaisa khat-o-payaam hota hai
تیغ ناکاموں پہ نہ ہر دم کھینچ
اک کرشمے میں کام ہوتا ہے
tegh naakaamon pe na har dam khench
ik karishme mein kaam hota hai
پوچھ مت آہ عاشقوں کی معاش
روز ان کا بھی شام ہوتا ہے
poochh mat aah aashiqon ki ma'aash
roz un ka bhi shaam hota hai
قتل کو میں کہا تو اٹھ بولا
آج کل صبح و شام ہوتا ہے
qatl ko main kaha to uth bola
aaj kal subh-o-shaam hota hai
آخر آؤں گا نعش پر اب آہ
کہ یہ عاشق تمام ہوتا ہے
aakhir aaunga na'sh par ab aah
ki ye aashiq tamaam hota hai
میرؔ صاحب بھی اس کے ہاں تھے پر
جیسے کوئی غلام ہوتا ہے
Mir sahib bhi us ke haan the par
jaise koi ghulaam hota hai