چوری میں دل کی وہ ہنر کر گیا
دیکھتے ہی آنکھوں میں گھر کر گیا
chori mein dil ki vo hunar kar gaya
dekhte hi aankhon mein ghar kar gaya
دہر میں میں خاک بسر ہی رہا
عمر کو اس طور بسر کر گیا
dahr mein main khaak-ba-sar hi raha
umr ko is taur basar kar gaya
دل نہیں ہے منزل سینہ میں اب
یاں سے وہ بیچارہ سفر کر گیا
dil nahin hai manzil-e-seena mein ab
yaan se vo bechaara safar kar gaya
حیف جو وہ نسخۂ دل کے اپر
سرسری سی ایک نظر کر گیا
haif jo vo nuskha-e-dil ke upar
sarsari si ek nazar kar gaya
کس کو مرے حال سے تھی آگہی
نالۂ شب سب کو خبر کر گیا
kis ko mere haal se thi aagahi
naala-e-shab sab ko khabar kar gaya
گو نہ چلا تا مژۂ تیر نگہ
اپنے جگر سے تو گزر کر گیا
go na chala ta mizha-e-teer-e-nigah
apne jigar se to guzar kar gaya
مجلس آفاق میں پروانہ ساں
میرؔ بھی شام اپنی سحر کر گیا
majlis-e-aafaq mein parvana-saan
Mir bhi shaam apni sahar kar gaya