جب کہا اور بھی دنیا میں حسیں اچھے ہیں
کیا ہی جھنجھلا کے وہ بولے کہ ہمیں اچھے ہیں
jab kaha aur bhi duniya men hasin achchhe hain
kya hi jhunjhla ke vo bole ki hamin achchhe hain
کس بھروسے یہ کریں تجھ سے وفا کی امید
کون سے ڈھنگ ترے جان حزیں اچھے ہیں
kis bharose ye karen tujh se vafa ki ummid
kaun se Dhang tire jan-e-hazin achchhe hain
خاک میں آہ ملا کر ہمیں کیا پوچھتے ہو
خیر جس طور ہیں ہم خاک نشیں اچھے ہیں
khak men aah mila kar hamen kya puchhte ho
khair jis taur hain ham khak-nashin achchhe hain
دل میں کیا خاک جگہ دوں ترے ارمانوں کو
کہ مکاں ہے یہ خراب اور مکیں اچھے ہیں
dil men kya khak jagah dun tire armanon ko
ki makan hai ye kharab aur makin achchhe hain
مجھ کو کہتے ہیں رقیبوں کی برائی سن کر
وہ نہیں تم سے برے بلکہ کہیں اچھے ہیں
mujh ko kahte hain raqibon ki burai sun kar
vo nahin tum se bure balki kahin achchhe hain