ہاتھ نکلے اپنے دونوں کام کے
دل کو تھاما ان کا دامن تھام کے
Haath nikle apne donon kaam ke
Dil ko thaama un ka daaman thaam ke
گھونٹ پی کر بادۂ گلفام کے
بوسے لے لیتا ہوں خالی جام کے
Ghoont pi kar baada-e-gulfaam ke
Bose le leta hun khaali jaam ke
رات دن پھرتا ہے کیوں اے چرخ پیر
تیرے دن ہیں راحت و آرام کے
Raat din phirta hai kyun ai charkh-e-pir
Tere din hain raahat-o-aaraam ke
اس نزاکت کا برا ہو بزم سے
اٹھتے ہیں وہ دست دشمن تھام کے
Is nazaakat ka bura ho bazm se
Uthte hain vo dast-e-dushman thaam ke
چشم مست یار کی اک دھوم ہے
آج کل ہیں دور دور جام کے
Chashm-e-mast-e-yaar ki ik dhoom hai
Aaj kal hain daur daur-e-jaam ke
یا جگر میں یا رہے گا دل میں تیر
یہ ہی دو گوشے تو ہیں آرام کے
Ya jigar mein ya rahega dil mein teer
Ye hi do goshe to hain aaraam ke
وہ کریں عذر وفا اچھی کہی
مجھ پہ ردے رکھتے ہیں الزام کے
Vo karen uzr-e-wafa achchhi kahi
Mujh pe radde rakhte hain ilzaam ke
خوش ہیں وہ دور فلک سے آج کل
دن پھرے ہیں گردش ایام کے
Khush hain vo daur-e-falak se aaj kal
Din phire hain gardish-e-ayyaam ke
آ گیا ہے بھول کر خط اس طرف
وہ تو عاشق ہیں مرے ہم نام کے
Aa gaya hai bhool kar khat is taraf
Vo to aashiq hain mere ham-naam ke
ہاتھ سے صیاد کے گر کر چھری
کٹ گئے حلقے ہمارے دام کے
Haath se sayyaad ke gir kar chhuri
Kat gaye halqe hamaare daam ke
قاصدوں کے منتظر رہنے لگے
پڑ گئے ان کو مزے پیغام کے
Qaasidon ke muntazir rahne lage
Pad gaye un ko maze paighaam ke
لب اتر آئے ہیں وہ تعریف پر
ہم جو عادی ہو گئے دشنام کے
Lab utar aaye hain vo taarif par
Ham jo aadi ho gaye dushnaam ke
دعویٰ عشق و وفا پر یہ کہا
سب بجا لیکن مرے کس کام کے
Daawa-e-ishq-o-wafa par ye kaha
Sab baja lekin mere kis kaam ke
بن سنور کر کب بگڑتا ہے بناؤ
صبح تک رہتے ہیں جلوے شام کے
Ban sanwar kar kab bigadta hai banaao
Subh tak rahte hain jalwe shaam ke
جور سے یا لطف سے پورا کیا
آپ پیچھے پڑ گئے جس کام کے
Jaur se ya lutf se poora kiya
Aap peechhe pad gaye jis kaam ke
ہے گدائے مے کدہ بھی کیا حریص
بھر لیے جھولی میں ٹکڑے جام کے
Hai gada-e-mai-kada bhi kya harees
Bhar liye jholi mein tukde jaam ke
نالہ و فریاد کی طاقت کہاں
بات کرتا ہوں کلیجا تھام کے
Naala-o-fariyaad ki taaqat kahan
Baat karta hun kaleja thaam ke
خوگر بیداد کو راحت ہے موت
بھاگتا ہوں نام سے آرام کے
Khugar-e-bedaad ko raahat hai maut
Bhaagta hun naam se aaraam ke
داغؔ کے سب حرف لکھتے ہیں جدا
ٹکڑے کر ڈالے ہمارے نام کے
Dagh ke sab harf likhte hain juda
Tukde kar daale hamaare naam ke