باقی جہاں میں قیس نہ فرہاد رہ گیا
افسانہ عاشقوں کا فقط یاد رہ گیا
Baaqi jahaan mein Qais na Farhaad rah gaya
Afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya
یہ سخت جاں تو قتل سے ناشاد رہ گیا
خنجر چلا تو بازوئے جلاد رہ گیا
Ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya
Khanjar chala to baazu-e-jallaad rah gaya
پابندیوں نے عشق کی بیکس رکھا مجھے
میں سو اسیریوں میں بھی آزاد رہ گیا
Paabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe
Main sau asiriyon mein bhi aazaad rah gaya
ان کی تو بن پڑی کہ لگی جان مفت ہاتھ
تیری گرہ میں کیا دل ناشاد رہ گیا
Un ki to ban padi ki lagi jaan muft haath
Teri girah mein kya dil-e-naashaad rah gaya
یوں آنکھ ان کی کر کے اشارہ پلٹ گئی
گویا کہ لب سے ہو کے کچھ ارشاد رہ گیا
Yun aankh un ki kar ke ishaara palat gayi
Goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya
ناصح کا جی چلا تھا ہماری طرح مگر
الفت کی دیکھ دیکھ کے افتاد رہ گیا
Naaseh ka ji chala tha hamaari tarah magar
Ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya
ہیں تیرے دل میں سب کے ٹھکانے برے بھلے
میں خانماں خراب ہی برباد رہ گیا
Hain tere dil mein sab ke thikaane bure bhale
Main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya
وہ دن گئے کہ تھی مرے سینے میں کچھ خراش
اب دل کہاں ہے دل کا نشاں یاد رہ گیا
Vo din gaye ki thi mere seene mein kuchh kharaash
Ab dil kahan hai dil ka nishaan yaad rah gaya
صورت کو تیری دیکھ کے کھنچتی ہے جان خلق
دل اپنا تھام تھام کے بہزاد رہ گیا
Surat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalq
Dil apna thaam thaam ke Behzaad rah gaya
اے داغؔ دل ہی دل میں گھلے ضبط عشق سے
افسوس شوق نالہ و فریاد رہ گیا
Ai Dagh dil hi dil mein ghule zabt-e-ishq se
Afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya