گھر ہے وحشت خیز اور بستی اجاڑ
ہو گئی ایک اک گھڑی تجھ بن پہاڑ
Ghar hai wahshat-khez aur basti ujaad
Ho gayi ek ik ghadi tujh bin pahaad
ہے پہنچنا اپنا چوٹی تک محال
اے طلب نکلا بہت اونچا پہاڑ
Hai pahunchna apna choti tak muhaal
Ai talab nikla bahut ooncha pahaad
دل نہیں روشن تو ہیں کس کام کے
سو شبستاں میں اگر روشن ہیں جھاڑ
Dil nahin raushan to hain kis kaam ke
Sau shabistan mein agar raushan hain jhaad
کھیت رستے پر ہے اور رہرو سوار
کشت ہے سرسبز اور نیچی ہے باڑ
Khet raste par hai aur rahrau sawar
Kisht hai sarsabz aur neechi hai baad