غم فرقت ہی میں مرنا ہو تو دشوار نہیں
شادی وصل بھی عاشق کو سزاوار نہیں
Gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin
Shadi-e-wasl bhi aashiq ko sazawar nahin
خوبروئی کے لیے زشتیٔ خو بھی ہے ضرور
سچ تو یہ ہے کہ کوئی تجھ سا طرح دار نہیں
Khoob-rui ke liye zishti-e-khu bhi hai zaroor
Sach to ye hai ki koi tujh sa tarahdar nahin
قول دینے میں تامل نہ قسم سے انکار
ہم کو سچا نظر آتا کوئی اقرار نہیں
Qaul dene mein ta'ammul na qasam se inkar
Hum ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin
کل خرابات میں اک گوشہ سے آتی تھی صدا
دل میں سب کچھ ہے مگر رخصت گفتار نہیں
Kal kharabat mein ik gosha se aati thi sada
Dil mein sab kuchh hai magar rukhsat-e-guftar nahin
حق ہوا کس سے ادا اس کی وفاداری کا
جس کے نزدیک جفا باعث آزار نہیں
Haq hua kis se ada us ki wafadari ka
Jis ke nazdeek jafa bais-e-aazar nahin