چشتی نے جس زمیں میں پیغام حق سنایا
نانک نے جس چمن میں وحدت کا گیت گایا
تاتاریوں نے جس کو اپنا وطن بنایا
جس نے حجازیوں سے دشت عرب چھڑایا
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
chishti ne jis zamin men paigham-e-haq sunaya
nanak ne jis chaman men vahdat ka git gaya
tatariyon ne jis ko apna vatan banaya
jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhudaya
mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai
یونانیوں کو جس نے حیران کر دیا تھا
سارے جہاں کو جس نے علم و ہنر دیا تھا
مٹی کو جس کی حق نے زر کا اثر دیا تھا
ترکوں کا جس نے دامن ہیروں سے بھر دیا تھا
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha
sare jahan ko jis ne ilm-o-hunar diya tha
mitti ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha
turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha
mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai
ٹوٹے تھے جو ستارے فارس کے آسماں سے
پھر تاب دے کے جس نے چمکائے کہکشاں سے
وحدت کی لے سنی تھی دنیا نے جس مکاں سے
میر عرب کو آئی ٹھنڈی ہوا جہاں سے
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
tute the jo sitare faris ke asman se
phir tab de ke jis ne chamkae kahkashan se
vahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se
mir-e-arab ko aai thandi hava jahan se
mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai
بندے کلیم جس کے پربت جہاں کے سینا
نوح نبی کا آ کر ٹھہرا جہاں سفینا
رفعت ہے جس زمیں کی بام فلک کا زینا
جنت کی زندگی ہے جس کی فضا میں جینا
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
bande kalim jis ke parbat jahan ke sina
nuh-e-nabi ka aa kar thahra jahan safina
rif'at hai jis zamin ki bam-e-falak ka zina
jannat ki zindagi hai jis ki faza men jina
mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai