دراج کی پرواز میں ہے شوکتِ شاہیں
حیرت میں ہے صیاد، یہ شاہیں ہے کہ دراج!
durraaj ki parwaaz mein hai shaukat-e-shaaheen
hairat mein hai sayyaad, ye shaaheen hai ke durraaj!
ہر قوم کے افکار میں پیدا ہے تلاطم
مشرق میں ہے فردائے قیامت کی نمود آج
har qaum ke afkaar mein paida hai talaatum
mashriq mein hai farda-e-qayaamat ki namood aaj
فطرت کے تقاضوں سے ہوا حشر پہ مجبور
وہ مردہ کہ تھا بانگِ سرافیل کا محتاج
fitrat ke taqaazon se hua hashr pe majboor
woh murda ke tha baang-e-Saraafeel ka mohtaaj