جوہر مرد عیاں ہوتا ہے بے منت غیر
غیر کے ہاتھ میں ہے جوہر عورت کی نمود
Jauhar-e-mard ayan hota hai be-minnat-e-ghair
Ghair ke hath mein hai jauhar-e-aurat ki numud
راز ہے اس کے تپ غم کا یہی نکتۂ شوق
آتشیں، لذت تخلیق سے ہے اس کا وجود
Raaz hai is ke tab-e-gham ka yahi nukta-e-shauq
Atishin lazzat-e-takhliq se hai is ka vujud
کھلتے جاتے ہیں اسی آگ سے اسرار حیات
گرم اسی آگ سے ہے معرکۂ بود و نبود
Khulte jate hain isi aag se asrar-e-hayat
Garm isi aag se hai maarka-e-bud-o-nabud
میں بھی مظلومی نسواں سے ہوں غم ناک بہت
نہیں ممکن مگر اس عقدۂ مشکل کی کشود!
Main bhi mazlumi-e-nisvan se hun gham-nak bahut
Nahin mumkin magar is uqda-e-mushkil ki kushud!