مژگاں وہ جھپکتا ہے اب تیر ہے اور میں ہوں
سر پاؤں سے چھدنے کی تصویر ہے اور میں ہوں
Mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun
Sar paon se chhidne ki tasvir hai aur main hun
کہتا ہے وہ کل تیرے پرزے میں اڑاؤں گا
اب صبح کو قاتل کی شمشیر ہے اور میں ہوں
Kahta hai wo kal tere purze main udaunga
Ab subh ko qatil ki shamshir hai aur main hun
بے جرم و خطا جس کا خوں ہووے روا یارو
اس خوبیٔ قسمت کا نخچیر ہے اور میں ہوں
Be-jurm-o-khata jis ka khun howe rawa yaro
Is khubi-e-qismat ka nakhchir hai aur main hun
دل ٹوٹا نظیرؔ اب تو دو چار برس رو کر
اس قصر شکستہ کی تعمیر ہے اور میں ہوں
Dil toota Nazir ab to do chaar baras ro kar
Is qasr-e-shikasta ki tamir hai aur main hun