ہنسے روئے پھرے رسوا ہوئے جاگے بندھے چھوٹے
غرض ہم نے بھی کیا کیا کچھ محبت کے مزے لوٹے
Hanse roye phire ruswa hue jage bandhe chhute
Gharaz hum ne bhi kya kya kuchh mohabbat ke maze loote
کلیجے میں پھپھولے دل میں داغ اور گل ہیں ہاتھوں پر
کھلے ہیں دیکھیے ہم میں بھی یہ الفت کے گل بوٹے
Kaleje mein phaphole dil mein daagh aur gul hain hathon par
Khile hain dekhiye hum mein bhi ye ulfat ke gul-boote
تفاوت کچھ نہیں گلچیں میں اور بے درد خوباں میں
جو اس کے ہاتھ گل ٹوٹے تو ان کے ہاتھ دل ٹوٹے
Tafawut kuchh nahin gulchin mein aur be-dard khooban mein
Jo us ke haath gul toote to un ke haath dil toote
ہزاروں گالیاں دیں پھر ذرا ہنس کر ادھر دیکھا
بھلا اتنی تسلی سے پھپھولے دل کے کب پھوٹے
Hazaron galiyan deen phir zara hans kar idhar dekha
Bhala itni tasalli se phaphole dil ke kab phoote
زباں کی کر کے مقراض اور بنا دشنام کا کاغذ
ہمارے حق میں کیا کیا آپ نے کترے ہیں گل بوٹے
Zaban ki kar ke miqraz aur bana dushnam ka kaghaz
Hamare haq mein kya kya aap ne katre hain gul-boote
یہ کہتے ہیں کہ عاشق چھوٹ جاتا ہے اذیت سے
جب اس کی عمر کو لشکر اجل کا آن کر لوٹے
Ye kahte hain ki aashiq chhoot jata hai aziyyat se
Jab us ki umr ko lashkar ajal ka aan kar loote
ہماری روح تو پھرتی ہے معشوقوں کی گلیوں میں
نظیرؔ اب ہم تو مر کر بھی نہ اس جنجال سے چھوٹے
Hamari rooh to phirti hai mashooqon ki galiyon mein
Nazir ab hum to mar kar bhi na is janjal se chhoote