خوش نہ آئی تمہاری چال ہمیں
یوں نہ کرنا تھا پائمال ہمیں
khush na aai tumhaari chaal hamein
yun na karna tha paaemaal hamein
حال کیا پوچھ پوچھ جاتے ہو
کبھو پاتے بھی ہو بحال ہمیں
haal kya poochh poochh jaate ho
kabhu paate bhi ho bahaal hamein
وہ دہاں وہ کمر ہی ہے مقصود
اور کچھ اب نہیں خیال ہمیں
wo dahaan wo kamar hi hai maqsood
aur kuchh ab nahin khayaal hamein
اس مہ چاردہ کی دوری نے
دس ہی دن میں کیا ہلال ہمیں
us mah-e-chaardah ki doori ne
das hi din mein kiya hilaal hamein
نظر آتے ہیں ہوتے جی کے وبال
حلقہ حلقہ تمہارے بال ہمیں
nazar aate hain hote ji ke wabaal
halqa halqa tumhaare baal hamein
تنگی اس جا کی نقل کیا کریے
یاں سے واجب ہے انتقال ہمیں
tangi is ja ki naql kya kariye
yaan se waajib hai intiqaal hamein
ترک سبزان شہر کریے اب
بس بہت کر چکے نہال ہمیں
tark-e-sabzaan-e-shahr kariye ab
bas bahut kar chuke nihaal hamein
وجہ کیا ہے کہ میرؔ منہ پہ ترے
نظر آتا ہے کچھ ملال ہمیں
wajh kya hai ki Mir munh pe tire
nazar aata hai kuchh malaal hamein