غیروں سے مل چلے تم مست شراب ہو کر
غیرت سے رہ گئے ہم یکسو کباب ہو کر
Ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar
Ghairat se reh gaye hum yaksu kabab ho kar
اس روئے آتشیں سے برقع سرک گیا تھا
گل بہہ گیا چمن میں خجلت سے آب ہو کر
Us roo-e-aatishin se burqa sarak gaya tha
Gul beh gaya chaman mein khijlat se aab ho kar
کل رات مند گئی تھیں بہتوں کی آنکھیں غش سے
دیکھا کیا نہ کر تو سرمست خواب ہو کر
Kal raat mund gayi thin bahuton ki aankhen ghash se
Dekha kiya na kar tu sarmast-e-khwab ho kar
پردہ رہے گا کیوں کر خورشید خاوری کا
نکلے ہے وہ بھی اب بے نقاب ہو کر
Parda rahega kyun kar khurshid-e-khawari ka
Nikle hai woh bhi ab be-naqab ho kar
یک قطرہ آب میں نے اس دور میں پیا ہے
نکلا ہے چشم تر سے وہ خون ناب ہو کر
Yak qatra aab main ne is daur mein piya hai
Nikla hai chashm-e-tar se woh khoon-e-naab ho kar
شرم و حیا کہاں تک ہیں میرؔ کوئی دن کے
اب تو ملا کرو تم ٹک بے حجاب ہو کر
Sharm-o-haya kahan tak hain Mir koi din ke
Ab to mila karo tum tuk be-hijab ho kar