ایک پرواز کو بھی رخصت صیاد نہیں
ورنہ یہ کنج قفس بیضۂ فولاد نہیں
ek parwaaz ko bhi rukhsat-e-sayyaad nahin
warna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulaad nahin
داد لے چھوڑوں میں صیاد سے اپنی لیکن
ضعف سے میرے تئیں طاقت فریاد نہیں
daad le chhodoon main sayyaad se apni lekin
zo'f se mere tain taaqat-e-faryaad nahin
بے ستوں بھی ہے وہی اور وہی جوئے شیر
تھا نمک شہرت شیریں کا سو فرہاد نہیں
be-sutoon bhi hai wahi aur wahi joo-e-sheer
tha namak shohrat-e-shireen ka so farhaad nahin
کیا کہوں میرؔ فراموش کیا ان نے تجھے
میں تو تقریب بھی کی پر تو اسے یاد نہیں
kya kahoon Mir faraamosh kiya un ne tujhe
main to taqreeb bhi ki par tu use yaad nahin