محبت میں آرام سب چاہتے ہیں
مگر حضرت داغؔ کب چاہتے ہیں
Mohabbat mein aaraam sab chaahte hain
Magar hazrat-e-Dagh kab chaahte hain
مگر عالم یاس میں تنگ آ کر
یہ سامان آفت عجب چاہتے ہیں
Magar aalam-e-yaas mein tang aa kar
Ye saamaan-e-aafat ajab chaahte hain
نہ تفریح آسائش دل کی خواہش
نہ سامان عیش و طرب چاہتے ہیں
Na tafrih aasaaish-e-dil ki khwaahish
Na saamaan-e-aish-o-tarab chaahte hain
نہ معشوق فرخار سے ان کو مطلب
نہ یہ جام بنت العنب چاہتے ہیں
Na maashooq-e-Farkhaar se un ko matlab
Na ye jaam-e-bint-ul-inab chaahte hain
نرالی تمنا ہے اہل کرم سے
ستم چاہتے ہیں غضب چاہتے ہیں
Niraali tamanna hai ahl-e-karam se
Sitam chaahte hain ghazab chaahte hain
نہ ہو کوئی آگاہ راز نہاں سے
خموشی کو یہ مہر لب چاہتے ہیں
Na ho koi aagaah raaz-e-nihaan se
Khamoshi ko ye mohr-e-lab chaahte hain
غم عشق میں داغؔ مجبور ہو کر
کبھی جو نہ چاہا وہ اب چاہتے ہیں
Gham-e-ishq mein Dagh majboor ho kar
Kabhi jo na chaaha vo ab chaahte hain