جلوے مری نگاہ میں کون و مکاں کے ہیں
مجھ سے کہاں چھپیں گے وہ ایسے کہاں کے ہیں
Jalwe meri nigaah mein kaun-o-makaan ke hain
Mujh se kahan chhupenge vo aise kahan ke hain
کھلتے نہیں ہیں راز جو سوز نہاں کے ہیں
کیا پھوٹنے کے واسطے چھالے زباں کے ہیں
Khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihaan ke hain
Kya phootne ke vaaste chhaale zabaan ke hain
جس روز کچھ شریک ہوئی میری مشت خاک
اس روز سے زمیں پہ ستم آسماں کے ہیں
Jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-khaak
Us roz se zameen pe sitam aasmaan ke hain
بازو دکھائے تم نے لگا کر ہزار ہاتھ
پورے پڑے تو وہ بھی بہت امتحاں کے ہیں
Baazu dikhaaye tum ne laga kar hazaar haath
Poore pade to vo bhi bahut imtihaan ke hain
ناصح کے سامنے کبھی سچ بولتا نہیں
میری زباں میں رنگ تمہاری زباں کے ہیں
Naaseh ke saamne kabhi sach bolta nahin
Meri zabaan mein rang tumhaari zabaan ke hain
کیسا جواب حضرت دل دیکھیے ذرا
پیغام بر کے ہاتھ میں ٹکڑے زباں کے ہیں
Kaisa jawaab hazrat-e-dil dekhiye zara
Paighaam-bar ke haath mein tukde zabaan ke hain
کیا اضطراب شوق نے مجھ کو خجل کیا
وہ پوچھتے ہیں کہئے ارادے کہاں کے ہیں
Kya iztiraab-e-shauq ne mujh ko khajil kiya
Vo poochhte hain kahiye iraade kahan ke hain
عاشق ترے عدم کو گئے کس قدر تباہ
پوچھا ہر ایک نے یہ مسافر کہاں کے ہیں
Aashiq tere adam ko gaye kis qadar tabaah
Poochha har ek ne ye musaafir kahan ke hain
ہر چند داغؔ ایک ہی عیار ہے مگر
دشمن بھی تو چھٹے ہوئے سارے جہاں کے ہیں
Har chand Dagh ek hi ayyaar hai magar
Dushman bhi to chhute hue saare jahaan ke hain