غم اٹھانے کے ہیں ہزار طریق
کہ زمانے کے ہیں ہزار طریق
gham uThane ke hain hazar tariq
ki zamane ke hain hazar tariq
غیر کے ذکر پر نہیں موقوف
جی جلانے کے ہیں ہزار طریق
ghair ke zikr par nahin mauquf
ji jalane ke hain hazar tariq
مہربانی کی ایک راہ تو ہو
گر ستانے کے ہیں ہزار طریق
mehrbani ki ek raah to ho
gar satane ke hain hazar tariq
دل میں آیا ہزار راہ سے غم
اس ٹھکانے کے ہیں ہزار طریق
dil mein aaya hazar raah se gham
us Thikane ke hain hazar tariq
ان کو سو سو بہانے آتے ہیں
ہر بہانے کے ہیں ہزار طریق
un ko sau sau bahane aate hain
har bahane ke hain hazar tariq
دی ہے مے اس نے غیر کو جوٹھی
منہ لگانے کے ہیں ہزار طریق
di hai mai us ne ghair ko jhuThi
munh lagane ke hain hazar tariq
داغؔ اب فاقہ مست بن بیٹھے
مانگ کھانے کے ہیں ہزار طریق
Dagh ab faqa-mast ban baiThe
mang khane ke hain hazar tariq