بیکسیٔ شب ہجراں کی مجھے تاب نہیں
کاش دشمن ہی چلے آئیں جو احباب نہیں
bekasi-e-shab-e-hijran ki mujhe taab nahin
kaash dushman hi chale aaen jo ahbab nahin
تجھ کو اے بخت سیہ آگ لگا کر دیکھوں
شب ہجراں میں اگر جلوۂ مہتاب نہیں
tujh ko ai bakht-e-siyah aag laga kar dekhun
shab-e-hijran mein agar jalva-e-mahtab nahin
نامہ بر مجھ سے یہ کہتا ہے کہ تم تو کیا ہو
بادشہ بھی تو وہاں قابل القاب نہیں
nama-bar mujh se ye kahta hai ki tum to kya ho
badshah bhi to vahan qabil-e-alqab nahin
نہ ملے مجھ کو مرے حال پہ رونے والے
عیش کیسا کہ یہاں غم کے بھی اسباب نہیں
na mile mujh ko mire haal pe rone vaale
aish kaisa ki yahan gham ke bhi asbab nahin
حال دل جس سے کہا اس نے کہا بس خاموش
داغؔ اس درد کے سننے کی ہمیں تاب نہیں
haal-e-dil jis se kaha us ne kaha bas khamosh
Dagh is dard ke sunne ki hamein taab nahin