جس کی نمود دیکھی چشمِ ستارہ بیں نے
خورشید میں، قمر میں، تاروں کی انجمن میں
Jis ki namud dekhi chashm-e-sitara-bin ne
Khurshid mein, qamar mein, taron ki anjuman mein
صوفی نے جس کو دل کے ظلمت کدے میں پایا
شاعر نے جس کو دیکھا قدرت کے بانکپن میں
Sufi ne jis ko dil ke zulmat-kade mein paya
Shair ne jis ko dekha qudrat ke bankpan mein
جس کی چمک ہے پیدا، جس کی مہک ہویدا
شبنم کے موتیوں میں، پھولوں کے پیرہن میں
Jis ki chamak hai paida, jis ki mahak hawaida
Shabnam ke motiyon mein, phoolon ke pairahan mein
صحرا کو ہے بسایا جس نے سکوت بن کر
ہنگامہ جس کے دم سے کاشانۂ چمن میں
Sahra ko hai basaya jis ne sukut ban kar
Hangama jis ke dam se kashana-e-chaman mein
ہر شے میں ہے نمایاں یوں تو جمال اس کا
آنکھوں میں ہے سلیمیٰ! تیری کمال اس کا
Har shai mein hai numayan yun to jamal us ka
Aankhon mein hai Sulaima! Teri kamal us ka