لبریز ہے شرابِ حقیقت سے جامِ ہند
سب فلسفی ہیں خطّۂ مغرب کے رامِ ہند
Labrez hai sharab-e-haqiqat se jam-e-Hind
Sab falsafi hain khitta-e-Maghrib ke Ram-e-Hind
یہ ہندیوں کی فکرِ فلک رس کا ہے اثر
رفعت میں آسماں سے بھی اُونچا ہے بامِ ہند
Ye Hindiyon ki fikr-e-falak-ras ka hai asar
Rif'at mein aasman se bhi uncha hai bam-e-Hind
اس دیس میں ہوئے ہیں ہزاروں مَلَک سرشت
مشہور جن کے دَم سے ہے دُنیا میں نامِ ہند
Is des mein hue hain hazaron malak-sarisht
Mashhur jin ke dam se hai duniya mein nam-e-Hind
ہے رام کے وجود پہ ہندوستاں کو ناز
اہلِ نظر سمجھتے ہیں اس کو امامِ ہند
Hai Ram ke wujud pe Hindostan ko naz
Ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-Hind
اعجاز اُس چراغِ ہدایت کا ہے یہی
روشن تر از سحَر ہے زمانہ میں شامِ ہند
Ijaz us chiragh-e-hidayat ka hai yahi
Raushan-tar az sahar hai zamana mein sham-e-Hind
تلوار کا دھنی تھا، شجاعت میں فرد تھا
پاکیزگی میں، جوشِ محبّت میں فرد تھا
Talwar ka dhani tha, shujaat mein fard tha
Pakizagi mein, josh-e-mohabbat mein fard tha