اُس کی نفرت بھی عمیق، اُس کی محبّت بھی عمیق
قہر بھی اُس کا ہے اللہ کے بندوں پہ شفیق
Us ki nafrat bhi amiq, us ki mohabbat bhi amiq
Qahr bhi us ka hai Allah ke bandon pe shafiq
پرورش پاتا ہے تقلید کی تاریکی میں
ہے مگر اُس کی طبیعت کا تقاضا تخلیق
Parwarish pata hai taqlid ki tariki mein
Hai magar us ki tabiyat ka taqaza takhliq
انجمن میں بھی میَسّر رہی خلوَت اُس کو
شمعِ محفل کی طرح سب سے جُدا، سب کا رفیق
Anjuman mein bhi muyassar rahi khalwat us ko
Shama-e-mehfil ki tarah sab se juda, sab ka rafiq
مثلِ خورشیدِ سحَر فکر کی تابانی میں
بات میں سادہ و آزادہ، معانی میں دقیق
Misl-e-khurshid-e-sahar fikr ki tabani mein
Baat mein sada o azada, maani mein daqiq
اُس کا اندازِ نظر اپنے زمانے سے جُدا
اُس کے احوال سے محرم نہیں پیرانِ طریق
Us ka andaz-e-nazar apne zamane se juda
Us ke ahwal se mahram nahin piran-e-tariq