غریبِ شہر ہوں میں، سن تو لے مری فریاد
کہ تیرے سینے میں بھی ہوں قیامتیں آباد
ghareeb-e-shahr hoon main, sun to le meri faryaad
ke tere seene mein bhi hon qayaamaten aabaad
مری نوائے غم آلود ہے متاعِ عزیز
جہاں میں عام نہیں دولتِ دلِ ناشاد
meri nawa-e-gham-aalood hai mataa-e-azeez
jahaan mein aam nahin daulat-e-dil-e-naashaad
گلہ ہے مجھ کو زمانے کی کور ذوقی سے
سمجھتا ہے مری محنت کو محنتِ فرہاد
gila hai mujh ko zamaane ki kor-zauqi se
samajhta hai meri mehnat ko mehnat-e-Farhaad
"صدائے تیشہ کہ بر سنگ میخورد دگر است
خبر بگیر کہ آوازِ تیشہ و جگر است"
"sada-e-tesha ke bar sang mi-khurad digar ast
khabar bageer ke aawaaz-e-tesha o jigar ast"