افکار جوانوں کے خفی ہوں کہ جلی ہوں
پوشیدہ نہیں مردِ قلندر کی نظر سے
Afkar jawanon ke khafi hon ke jali hon
Poshida nahin mard-e-qalandar ki nazar se
معلوم ہیں مجھ کو ترے احوال کہ میں بھی
مدت ہوئی گزرا تھا اسی راہ گزر سے
Maalum hain mujh ko tere ahwal ke main bhi
Muddat hui guzra tha isi rahguzar se
الفاظ کے پیچوں میں الجھتے نہیں دانا
غواص کو مطلب ہے صدف سے کہ گہر سے
Alfaz ke pechon mein ulajhte nahin dana
Ghawwas ko matlab hai sadaf se ke guhar se
پیدا ہے فقط حلقۂ اربابِ جنوں میں
وہ عقل کہ پا جاتی ہے شعلے کو شرر سے
Paida hai faqat halqa-e-arbab-e-junun mein
Woh aql ke pa jati hai shole ko sharar se
جس معنیِ پیچیدہ کی تصدیق کرے دل
قیمت میں بہت بڑھ کے ہے تابندہ گہر سے
Jis maani-e-pechida ki tasdiq kare dil
Qimat mein bahut badh ke hai tabinda guhar se
یا مردہ ہے یا نزع کی حالت میں گرفتار
جو فلسفہ لکھا نہ گیا خونِ جگر سے
Ya murda hai ya naza ki halat mein giraftar
Jo falsafa likkha na gaya khun-e-jigar se