اس بحث کا کچھ فیصلہ میں کر نہیں سکتا
گو خوب سمجھتا ہوں کہ یہ زہر ہے، وہ قند
Is bahs ka kuchh faisla main kar nahin sakta
Go khub samajhta hun ki ye zahr hai vo qand
کیا فائدہ، کچھ کہہ کے بنوں اور بھی معتوب
پہلے ہی خفا مجھ سے ہیں تہذیب کے فرزند
Kya faida kuchh kah ke banun aur bhi maatub
Pahle hi khafa mujh se hain tahzib ke farzand
اس راز کو عورت کی بصیرت ہی کرے فاش
مجبور ہیں، معذور ہیں، مردان خرد مند
Is raaz ko aurat ki basirat hi kare fash
Majbur hain mazur hain mardan-e-khirad-mand
کیا چیز ہے آرائش و قیمت میں زیادہ
آزادی نسواں کہ زمرد کا گلوبند!
Kya chiz hai aaraish-o-qimat mein ziyada
Azadi-e-nisvan ki zumurrad ka guluband!