دنیا میں پادشہ ہے سو ہے وہ بھی آدمی
اور مفلس و گدا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
زردار بے نوا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
نعمت جو کھا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
ٹکڑے چبا رہا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Duniya mein padshah hai so hai wo bhi aadmi
Aur muflis-o-gada hai so hai wo bhi aadmi
Zardar be-nawa hai so hai wo bhi aadmi
Nemat jo kha raha hai so hai wo bhi aadmi
Tukde chaba raha hai so hai wo bhi aadmi
یاں آدمی پہ جان کو وارے ہے آدمی
اور آدمی پہ تیغ کو مارے ہے آدمی
پگڑی بھی آدمی کی اتارے ہے آدمی
چلا کے آدمی کو پکارے ہے آدمی
اور سن کے دوڑتا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Yaan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
Aur aadmi pe tegh ko mare hai aadmi
Pagdi bhi aadmi ki utare hai aadmi
Chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
Aur sun ke daudta hai so hai wo bhi aadmi
چلتا ہے آدمی ہی مسافر ہو لے کے مال
اور آدمی ہی مارے ہے پھانسی گلے میں ڈال
یاں آدمی ہی صید ہے اور آدمی ہی جال
سچا بھی آدمی ہی نکلتا ہے میرے لال
اور جھوٹ کا بھرا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Chalta hai aadmi hi musafir ho le ke maal
Aur aadmi hi mare hai phansi gale mein daal
Yaan aadmi hi said hai aur aadmi hi jaal
Sachcha bhi aadmi hi nikalta hai mere lal
Aur jhooth ka bhara hai so hai wo bhi aadmi
یاں آدمی ہی شادی ہے اور آدمی بیاہ
قاضی وکیل آدمی اور آدمی گواہ
تاشے بجاتے آدمی چلتے ہیں خواہ مخواہ
دوڑے ہیں آدمی ہی تو مشعل جلا کے راہ
اور بیاہنے چڑھا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Yaan aadmi hi shadi hai aur aadmi byah
Qazi wakil aadmi aur aadmi gawah
Tashe bajate aadmi chalte hain khwah-makhwah
Daude hain aadmi hi to mashal jala ke raah
Aur byahne chadha hai so hai wo bhi aadmi
یاں آدمی نقیب ہو بولے ہے بار بار
اور آدمی ہی پیادے ہیں اور آدمی سوار
حقہ صراحی جوتیاں دوڑیں بغل میں مار
کاندھے پہ رکھ کے پالکی ہیں دوڑتے کہار
اور اس میں جو پڑا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Yaan aadmi naqib ho bole hai baar baar
Aur aadmi hi pyade hain aur aadmi sawar
Huqqa surahi jootiyan dauden baghal mein maar
Kandhe pe rakh ke palki hain daudte kahar
Aur us mein jo pada hai so hai wo bhi aadmi
بیٹھے ہیں آدمی ہی دکانیں لگا لگا
اور آدمی ہی پھرتے ہیں رکھ سر پہ خونچا
کہتا ہے کوئی لو کوئی کہتا ہے لا رے لا
کس کس طرح کی بیچیں ہیں چیزیں بنا بنا
اور مول لے رہا ہے سو ہے وہ آدمی
Baithe hain aadmi hi dukanen laga laga
Aur aadmi hi phirte hain rakh sar pe khwancha
Kahta hai koi lo koi kahta hai la re la
Kis kis tarah ki bechen hain cheezen bana bana
Aur mol le raha hai so hai wo aadmi
یاں آدمی ہی لعل و جواہر میں بے بہا
اور آدمی ہی خاک سے بد تر ہے ہو گیا
کالا بھی آدمی ہے کہ الٹا ہے جوں توا
گورا بھی آدمی ہے کہ ٹکڑا ہے چاند سا
بد شکل بد نما ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Yaan aadmi hi lal-o-jawahar mein be-baha
Aur aadmi hi khak se badtar hai ho gaya
Kala bhi aadmi hai ki ulta hai jun tawa
Gora bhi aadmi hai ki tukda hai chaand sa
Bad-shakl bad-numa hai so hai wo bhi aadmi
اک آدمی ہیں جن کے یہ کچھ زرق برق ہیں
روپے کے جن کے پاؤں ہیں سونے کے فرق ہیں
جھمکے تمام غرب سے لے تا بہ شرق ہیں
کم خواب تاش شال دو شالوں میں غرق ہیں
اور چیتھڑوں لگا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Ik aadmi hain jin ke ye kuchh zarq-barq hain
Rupe ke jin ke paon hain sone ke farq hain
Jhumke tamam gharb se le ta-ba-sharq hain
Kamkhwab taash shal dushalon mein gharq hain
Aur chithdon laga hai so hai wo bhi aadmi
حیراں ہوں یارو دیکھو تو کیا یہ سوانگ ہے
اور آدمی ہی چور ہے اور آپی تھانگ ہے
ہے چھینا جھپٹی اور بانگ تانگ ہے
دیکھا تو آدمی ہی یہاں مثل رانگ ہے
فولاد سے گڑھا ہے سو ہے وہ بھی آدمی
Hairan hun yaro dekho to kya ye swang hai
Aur aadmi hi chor hai aur aapi thang hai
Hai chhina-jhapti aur bang-tang hai
Dekha to aadmi hi yahan misl-e-rang hai
Faulad se gadha hai so hai wo bhi aadmi