گزر جان سے اور ڈر کچھ نہیں
رہ عشق میں پھر خطر کچھ نہیں
Guzar jaan se aur dar kuchh nahin
Rah-e-ishq mein phir khatar kuchh nahin
ہے اب کام دل جس پہ موقوف تو
وہ نالہ کہ جس میں اثر کچھ نہیں
Hai ab kaam-e-dil jis pe mauqoof to
Woh nala ki jis mein asar kuchh nahin
ہوا مائل اس سرو کا دل مرا
بجز جور جس سے ثمر کچھ نہیں
Hua maa'il us sarv ka dil mera
Ba-juz jaur jis se samar kuchh nahin
نہ کر اپنے محووں کا ہرگز سراغ
گئے گزرے بس اب خبر کچھ نہیں
Na kar apne mahvon ka hargiz suragh
Gaye guzre bas ab khabar kuchh nahin
تری ہو چکی خشک مژگاں کی سب
لہو اب جگر میں مگر کچھ نہیں
Tari ho chuki khushk mizhgan ki sab
Lahu ab jigar mein magar kuchh nahin
حیا سے نہیں پشت پا پر وہ چشم
مرا حال مد نظر کچھ نہیں
Haya se nahin pusht-e-pa par woh chashm
Mera haal madd-e-nazar kuchh nahin
کروں کیونکے انکار عشق آہ میں
یہ رونا بھلا کیا ہے گر کچھ نہیں
Karun kyunke inkar-e-ishq aah main
Ye rona bhala kya hai gar kuchh nahin
کمر اس کی رشک رگ جاں ہے میرؔ
غرض اس سے باریک تر کچھ نہیں
Kamar us ki rashk-e-rag-e-jaan hai Mir
Gharaz us se bareek-tar kuchh nahin