آج کل بے قرار ہیں ہم بھی
بیٹھ جا چلنے ہار ہیں ہم بھی
aaj kal be-qarar hain ham bhi
baith ja chalne-haar hain ham bhi
آن میں کچھ ہیں آن میں کچھ ہیں
تحفۂ روزگار ہیں ہم بھی
aan mein kuchh hain aan mein kuchh hain
tohfa-e-rozgar hain ham bhi
درپئے جان ہے قراول مرگ
کسو کے تو شکار ہیں ہم بھی
dar-pa-e-jaan hai qaraval-e-marg
kisu ke to shikar hain ham bhi
نالے کریو سمجھ کے اے بلبل
باغ میں یک کنار ہیں ہم بھی
nale kariyo samajh ke ai bulbul
baagh mein yak kinar hain ham bhi
مدعی کو شراب ہم کو زہر
عاقبت دوست دار ہیں ہم بھی
mudda'i ko sharab ham ko zahr
aaqibat dost-dar hain ham bhi
مضطرب گریہ ناک ہے یہ گل
برق ابر بہار ہیں ہم بھی
muztarib girya-nak hai ye gul
barq-e-abr-e-bahar hain ham bhi
گر زخود رفتہ ہیں ترے نزدیک
اپنے تو یادگار ہیں ہم بھی
gar za-khud-rafta hain tire nazdik
apne to yadgar hain ham bhi
میرؔ نام اک جواں سنا ہوگا
اسی عاشق کے یار ہیں ہم بھی
'Mir' naam ik javan suna hoga
usi aashiq ke yaar hain ham bhi