کوئی دن گر زندگانی اور ہے
اپنے جی میں ہم نے ٹھانی اور ہے
Koi din gar zindagani aur hai
Apne ji mein hum ne thaani aur hai
بارہا دیکھی ہیں ان کی رنجشیں
پر کچھ اب کے سرگرانی اور ہے
Baar-ha dekhi hain un ki ranjishen
Par kuchh ab ke sar-girani aur hai
دے کے خط منہ دیکھتا ہے نامہ بر
کچھ تو پیغام زبانی اور ہے
De ke khat munh dekhta hai nama-bar
Kuchh to paigham-e-zabani aur hai
قاطع اعمار ہیں اکثر نجوم
وہ بلائے آسمانی اور ہے
Qata-e-a'maar hain aksar nujoom
Woh bala-e-aasmani aur hai
ہو چکیں غالبؔ بلائیں سب تمام
ایک مرگ ناگہانی اور ہے
Ho chukin Ghalib balaen sab tamam
Ek marg-e-nagahani aur hai