غم کھانے میں بودا دلِ ناکام بہت ہے
یہ رنج کہ کم ہے مئے گلفام بہت ہے
Gham khane mein boda dil-e-nakam bahut hai
Ye ranj ki kam hai mai-e-gulfam bahut hai
کہتے ہوئے ساقی سے حیا آتی ہے ورنہ
ہے یوں کہ مجھے دردِ تہِ جام بہت ہے
Kahte hue saqi se haya aati hai warna
Hai yun ki mujhe durd-e-tah-e-jaam bahut hai
نے تیر کماں میں ہے نہ صیاد کمیں میں
گوشے میں قفس کے مجھے آرام بہت ہے
Nai tir kaman mein hai na sayyad kamin mein
Goshe mein qafas ke mujhe aaram bahut hai
ہیں اہلِ خرد کس روشِ خاص پہ نازاں
پابستگئ رسم و رہِ عام بہت ہے
Hain ahl-e-khirad kis rawish-e-khas pe nazan
Pabastagi-e-rasm-o-rah-e-aam bahut hai
ہے قہر گر اب بھی نہ بنے بات کہ ان کو
انکار نہیں اور مجھے ابرام بہت ہے
Hai qahr gar ab bhi na bane baat ki un ko
Inkar nahin aur mujhe ibram bahut hai
خوں ہو کے جگر آنکھ سے ٹپکا نہیں اے مرگ
رہنے دے مجھے یاں کہ ابھی کام بہت ہے
Khun ho ke jigar aankh se tapka nahin ai marg
Rahne de mujhe yan ki abhi kaam bahut hai
ہوگا کوئی ایسا بھی کہ غالبؔ کو نہ جانے
شاعر تو وہ اچھا ہے پہ بدنام بہت ہے
Hoga koi aisa bhi ki Ghalib ko na jaane
Shayar to wo achchha hai pa badnam bahut hai