یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتا
اگر اور جیتے رہتے، یہی انتظار ہوتا
Ye na thi hamari qismat ki visal-e-yaar hota
Agar aur jeete rahte yahi intizaar hota
ان کے دیکھے سے جو آ جاتی ہے منہ پر رونق
وہ سمجھتے ہیں کہ بیمار کا حال اچھا ہے
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq
Vo samajhte hain ki beemar ka haal achchha hai
ہیں اور بھی دنیا میں سخنور بہت اچھے
کہتے ہیں کہ غالب کا ہے اندازِ بیاں اور
Hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achchhe
Kahte hain ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur
بازیچۂ اطفال ہے دنیا مرے آگے
ہوتا ہے شب و روز تماشا مرے آگے
Bazicha-e-atfaal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o-roz tamasha mere aage