مہرباں ہو کے بلالو مجھے، چاہو جس وقت
میں گیا وقت نہیں ہوں کہ پھر آ بھی نہ سکوں
Mehrban ho ke bula lo mujhe, chaho jis waqt
Main gaya waqt nahin hun ki phir aa bhi na sakun
ضعف میں طعنۂ اغیار کا شکوہ کیا ہے
بات کچھ سَر تو نہیں ہے کہ اٹھا بھی نہ سکوں
Zof mein tana-e-aghyar ka shikwa kya hai
Baat kuchh sar to nahin hai ki utha bhi na sakun
زہر ملتا ہی نہیں مجھ کو ستمگر، ورنہ
کیا قسم ہے ترے ملنے کی کہ کھا بھی نہ سکوں
Zahar milta hi nahin mujh ko sitamgar, warna
Kya qasam hai tere milne ki ki kha bhi na sakun